Saturday, April 16, 2011

Be_naam musafir hoon...

Be_naam musafir hoon  be_naam safar mera
kis rah nikal jaon kuch kah nahi sakta.
Be_naam meri manzil be_naam thikana hay
Kis dar pay main ruk jaon kuch kah nahi sakta
  Iss paar to roshan hay sara mera rasta
Us paar andhera ho kuch keh nahi sakta
  Tinkay ki tarah main bhi beh jaon
Samandar main mil jaye ga kinara kuch keh ahi sakta
Mil jaye gi tahbeer mere khawaboon ki ek din
  Ya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta

No comments:

Post a Comment