Tuesday, April 19, 2011

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna...

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna 
Sitam eejaad bhi karna, wafa ke saath bhi rehna 

Tera andaaz aisa hai andheron ki kahaani main 
Jalaana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna 
Yahaan to shokhiyon ko apni zebaaii se matlab hai 
Lahu main bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna 
Ajab rang-e-ta'aluq hai mohabbat ka mere dil se 
Keh us ko torna bhi aur sada kay saath bhi rehna 
Haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, to dil ko hai 
Khad-o-khaal- e-butaan main bhi, khuda ke saath bhi rehna

No comments:

Post a Comment