Showing posts with label Romantic Poetry. Show all posts
Showing posts with label Romantic Poetry. Show all posts

Tuesday, April 19, 2011

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna...

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna 
Sitam eejaad bhi karna, wafa ke saath bhi rehna 

Tera andaaz aisa hai andheron ki kahaani main 
Jalaana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna 
Yahaan to shokhiyon ko apni zebaaii se matlab hai 
Lahu main bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna 
Ajab rang-e-ta'aluq hai mohabbat ka mere dil se 
Keh us ko torna bhi aur sada kay saath bhi rehna 
Haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, to dil ko hai 
Khad-o-khaal- e-butaan main bhi, khuda ke saath bhi rehna

Sunday, April 17, 2011

Aankh ne raat jb chaand mukammal dekha....

"Aankh ne raat jb chaand mukammal dekha"

"Phr samandar ko bhi hote hoe pagal dekha"

"Raat deer talak ki teri baaten khod se"

"Raat bhar samne chera tera pal pal dekha"

"Ajj yadoon ki ghata toot k barsi dil pe"

"Ajj hum ne bhi barasta hoa badal dekha"

"Hafza cheen lya hum se Gham-e-dunya ne"

"Ajj hum bhool gae usko jise pal pal dekha"

"Ek chehra jo bohot hansta tha"

" SAHIL"

"Ajj uski ankhon se B behta kajal dekha"

Tuesday, April 12, 2011

Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Men Sayahi.


"PARVEEN SHAKIR"

Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Men Sayahi.
Jb Koi Armaan Dil Men Machalta Hi Nhi.
 
Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Pr.
Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Men Milta Hi Nhi
 
Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Men.
Magr Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.
 
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga
Pr Suna Hai Wo Marne Se Phly Kisi Se Milta Nhi.

Friday, March 18, 2011

Tujhe bhul jana naheen mere bas main....


Tujhe apne dil se main kaise bhula doon
Teri yaad hi to meri zindagi hay
Tujhe kiya khabar hay k tuj se bichar kar
Tarap kar har ek pal guzara hay main ne
Judai k gham se pareshan ho kar
Kahi bar tuj ko poukara hay main ne
Sada de raha hay tujhe piyar mera
Meri zindagi tue kahan kho gai hay
Tujhe bhul jana naheen mere bas main
Mujhye dard de kar chale jane wale
Tere gham se daman main kaise chura loun
Har ek baat par muj ko yaad ane wale
In aankhon main har dam jale ga tera gham
Kabhi na bujhe jo yeh woh roshni hay

Wednesday, March 9, 2011

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
 
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye
Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqtain In Main Choteti Hain
Mohabbatain In Main Rothti Hain
Pinapti Hain In Main Wehshatain Si
Aziatain In Main Photeti Hain
Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe
Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain

Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere
Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa
Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere
Khial Sare Jhulas Gai Hain
Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

Tuesday, March 8, 2011

Jo main dil ki baat kah doon...

Na chura sako ge daman
Na nazar bacha sako ge
Jo main dil ki baat kah doon
To kaheen na ja sako ge
Woh haseen sa tasawor
Jise tum ne zindagi de
Use bhul kar bhi shayad
Na kabhi bhula sako ge
Yeh nazar jhuki jhuki si
Yeh qadam ruke ruke se
Mera dil yeh kah raha hay
Kaheen tum na ja sako ge
Mere hamnasheen tum hi ho
Mere hamsafar tum hi ho
Meri koun si hay manzel
Yeh tumhi bata sako ge